zindagi tu mujhe kis mod pe le aai hai khwab khulte the jahan barf wahan chhai hai sau dariche hain magar shama kisi par bhi nahin chand nikle meri raaton ka muqaddar bhi nahin kya karun kya na karun hath mein patthar bhi nahin shish-mahlon ko koi gham bhi nahin dar bhi nahin log gunge hain bayaban mein azan kaise ho log qatil hain ilaj-e-gham-e-jaan kaise ho log patthar hain to ehsas-e-ziyan kaise ho kis ko fursat hai jo puchhe ki miyan kaise ho raat jab khatm hui thi to sahar lagti thi raushni rahguzar rahguzar lagti thi zindagi kucha-e-jaanan ka safar lagti thi apni manzil kahin jannat ke udhar lagti thi kuchh bhi aankhon mein nahin ashk-e-nadamat ke siwa kuchh bhi daman mein nahin dagh-e-malamat ke siwa kuchh bhi chehre pe nahin gard-e-masafat ke siwa apni dukan mein sab kuchh hai mohabbat ke siwa