mar ke dekhta hun main zindagi ki razm-gah sard aur bujhi hui jaise ek beswa raat ki thaki hui ho palang par udas nim-jaan padi hui koi kashmakash nahin koi justuju nahin ab to dur dur tak hashr-e-hao-hu nahin chaar-su nigah mein sukhe sukhe jism mein maut ki jabin pe hain ya karih tewriyan chaar-su nigah mein haddiyon ke dher hain aaj bhi jhalakte hain jin se bhuk ke nishan zindagi giran rahi maut raegan gai sair ho ke ja rahe hain gadhon ke karwan mere ham-safar tamam sadgi shiar the ranj ke shikar the gham se dil-figar the phir bhi mutmain jiye kitne waza-dar the wo padi hai nazima, wo meri rafiq-e-kar wo meri sharik-e-gham zist ki shaguftagi sach ki gham-zada rahi ifaqa-kash rahi magar bhediyon ke waste tar niwala hi rahi is ka jism dhanp dun ki har ek barahnagi is fareb-zar mein na-pasand ki gai haalat-e-sitam-nasib dekhta nahin koi kyun hua koi gharib dekhta nahin koi aur haqaeq-e-muhib dekhta nahin koi bagh dekhte hain sab rag dekhte nahin chand dekhte hain sab dagh dekhte nahin