kamra

ba-zahir tum ko lagta hai
ki sab kuchh pas hai mere

nahin hamdam
main sab kuchh chhod aaya hun

usi kachche makan ke upri kamre ki diwaron
se lipti chand taswiron ke rangon mein

jo ab tak sans leti hain
wo tahriren kitaben aur tanhai ki baaten sab

usi kamre ke nile carpet par
aaj bhi waise padi hongi

main jaise rakh ke aaya tha
wo cigarette ka dhuan wo qahqahe

wo tash ke patte
wahi shatranj ke mohre

jo bashinde the us chhoti si duniya ke
usi kamre mein zinda hain

usi kamre mein zinda the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close