kangan

kash main tere hasin hath ka kangan hota
tu bade pyar se chaw se bade man ke sath

apni nazuk si kalai mein chadhati mujh ko
aur betabi se furqat ke khizan lamhon mein

tu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko
main tere hath ki khushbu se mahak sa jata

jab kabhi mood mein aa kar mujhe chuma karti
tere honton ki mein hiddat se dahak sa jata

raat ko jab bhi tu nindon ke safar par jati
marmarin hath ka ek takiya banaya karti

main tere kan se lag kar kai baaten karta
teri zulfon ko tere gal ko chuma karta

jab bhi tu band-e-qaba kholne lagti jaanan
apni aankhon ko tere husn se khira karta

mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri ruh ke gulshan mein mahakta rahta

main tere jism ke aangan mein khanakta hota
kuchh nahin to yahi be-nam sa bandhan hota

kash main tere hasin hath ka kangan hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close