ye wo gulshan hai jis mein phul khilte hain ahinsa ke isi ki god ne pur-amn insanon ko pala hai ye wo dharti hai jis mein wirta parwan chadhti hai isi ki god ne wiron ko balwanon ko pala hai isi ki kokh ne paida kiya hai un jawanon ko jo apni aan apne bankpan ki laj rakhte hain watan ki aabru par gar zara bhi aanch aati hai to apni jaan de kar ye watan ki laj rakhte hain yahan ka zarra zarra chand aur suraj se badh kar hai mubarakbaad do is matr-bhumi ke ujalon ko yahan se ekta ka pyar ka paigham milta hai mubarakbaad do in masjidon ko in shiwalon ko lagao aaj apne desh ki mitti ke jai-kare lagao aaj is dharti ki zindabaad ke nare