kya ajab hai ki kabhi dil ke siyah-khane mein muskura utthe koi shokh kiran ye bala-khana-e-tarik munawwar ho jae tod de apni khamoshi jo zamir gham ke tah-khanon ke asrar khulen phir na ehsas chubhoe nashtar phir na rah rah ke jhinjhode ye zamir aur sine pe koi bojh bhi baqi na rahe zehn se fikr ka ambar hate ek kade dard ka darman ho jae hae wo dard jo alfaz mein dhalta hi nahin ek kanta jo kisi tarah nikalta hi nahin