tum mujhe qatl na karo main khud kai tukdon mein bat jaunga mera ek tukda kapas ka phul ban jaega aur dusra wo aag jo kapas ke phul se raushan hoti hai tum mujhe qatl na karo main khud kai tukdon mein bat jaunga mera ek tukda dariya ban jaega aur dusra wo chand jo is dariya mein dub jata hai han mujhe qatl na karo kyunki main apni shahadat ki gawahi dene ke liye dobara paida ho jaunga kya tum nahin dekhte ki suraj dobara nikal aata hai chand dobara tulua ho jata hai aur kapas ka phul dobara khil jata hai aur ibaadat-gahon mein aag dobara raushan ho jati hai