main karachi ki rahne wali hun ek samundar yahan pe bahta hai is samundar ki main bhi mahi hun ishq ki rah ki main rahi hun meri manzil hai is ki khamoshi meri aawaz wo samajhta hai us ki maujon se aashna hun main us ki lahren bhi jaanti hain mujhe main yahan roz sham aati hun apne gham ka bayan karne ko ye mera haal-e-dil bhi sunta hai aur mujhe apni bhi sunata hai hum yahan pahron baat karte hain shikwa-e-kaenat karte hain