main aspatal ke bistar pe tum se itni dur ye sochta hun ki aisi ajib duniya mein na jaane aaj ke din kya nahin hua hoga kisi ne badh ke sitare qafas kiye honge kisi ke hat mein mahtab aa gaya hoga jalai hongi kisi ke nafas ne qindilen kisi ki bazm mein khurshid nachta hoga kisi ko zehn ka chhota sa taziyana bahut kisi ko dil ki kashakash ka hausla hoga na jaane kitne irade ubhar rahe honge na jaane kitne khayalon ka dil badha hoga tumhaari phul si fitrat ki sath-e-narm se dur pahad honge samundar ka rasta hoga ye ek farz ka mahaul farz ka sangit ye aspatal ke aansu ye aspatal ki rit mere qarib bahut se mariz aur bhi hain pukarti hui aankhen karahte hue dil bahut aziz hai in sab ko zindagi apni ye apni zist ka ehsas kaisi neamat hai magar mujhe yahi uljhan ki zindagi ki ye bhik jo mil gai bhi to kitni zara si baat mili kisi ke hat mein mahtab aa gaya bhi to kya kisi ke qadmon mein suraj ka sar jhuka bhi to kya hua hi kya jo ye chhoti si kaenat mili? mere wajud ki gahri khamosh virani tumhein yahan ke andhere ka ilm kya hoga tumhein to sirf muqaddar se chand raat mili