fuzul hai ye guftugu hai nigah dekhti hai taq mein rakhi hain chand botalen chalo chalen chalo chalen jahan hamein khayal hi na aae zindagi nazar ki bhul hai chalo chalen jahan ye dar ye dastakon pe dastaken sunai hi na de saken jahan ye rauzan-e-zubun nigah ki mikhasamat na kar sake jahan khuli faza khuli faza ki jaise koi kah raha ho aaiye ye kah rahi ho aaiye khuli faza hai ye yahan to aaiye magar khuli faza mein bhi kabhi gadhe kabhi sitada ped kah rahe hain dekhiye ye guftugu fuzul hai fuzul hai nigah dekhti hai taq mein rakhi hain chand botalen chalo chalen jo god man ki thi wo man ki god thi wahan har ek baat jo fuzul thi wo ek bhul thi nigah dekhti hai taq mein rakhi hain chand botalen chalo chalen bahan ye kah rahi thi ab to aap ghar basa hi len main sochta tha kis ka ghar hamara ghar tumhaara ghar aur us pe bhai bol utha fuzul hai ye guftugu fuzul hai nigah dekhti hai taq mein rakhi hain chand botalen chalo chalen jahan na koi taq ho na chand botalen jahan na kah saken chalo chalen ye guftugu fuzul hai magar wahan koi gadha na ho na koi ped ho wahan sukun-e-akhiri se ja milen magar yahan bhi taq par rakhi hain chand botalen