karam yogi hai paikar-e-jism mein rahta hai mere sath us ki aawaz mere dil se nikal kar phunkti hai meri ruh mein naghmon ka khumar phul khilte hain sitaron ke mere aangan mein meri sakhiyan meri hamjoliyan aati hain mujhe milne to wo mil baithta hai us ki aasudagi-e-dil dar-o-diwar se bahar kisi mahki hui khushbu ki tarah phailti hai phail kar chumti hai har kas-o-na-kas ke qadam kya karun dil mera diwana hai paikar-e-jism mein rahta hua yogi hai wafa ki taswir apni tabir ko khwabon mein basa leti hun koi aazurda-badan koi khizan-dida chaman us ki phaili hui khushbu se agar jag uthe to mujhe gham hota hai