ammi abba kaise hain tedhe hain ya sidhe hain gum-sum rahne wale hain baaten karne wale hain zehn-o-dil ke kaise hain garm hain ya phir thande hain pyar lutane wale hain aankh dikhane wale hain naz uthane wale hain dant pilane wale hain dilli mein kyon rahte hain dilli mein kya karte hain khana kaun banata hai un ko kaun khilata hai kin se baaten karte hain kin ki baaten sunte hain tanha kaise rahte hain tanhai kyon sahte hain kyon sunday mein aate hain uncle jaise lagte hain sunday mein bhi sote hain chhutti ko bhi khote hain ammi un se bolo na hont zara tum kholo na bolo un se pas rahen hum se bhi kuchh baat karen hum logon ka haal sunen apni koi baat kahen bolo na ki chust rahen aise bhi na sust rahen hum ko le kar shahr chalen ghumen phiren aur mauj karen hum mein kaisi duri hai ye kaisi majburi hai