kal bhi ye karb tha aur tira-shabi thi lekin kal to aaya tha koi subh-e-nau ummid liye ye alag baat ki tute the sitare kal bhi mere be-nam se jazbaat ki tardid liye kal bhi yunhi dar-e-zindan tha muqaffal lekin zindagi qaid se is darja pareshan na thi zist ka mujh pe koi bar nahin tha kal tak aarzu dil ki shikasta thi pasheman na thi han magar aaj naya hadisa guzra hai yahan zindagi gham se shikasta bhi pareshan bhi hai dil koi harf-e-ghalat ban ke mita jata hai aur har sans giran-bar-o-pasheman bhi hai mujh ko ma'lum hai ye qaid ye tanhai-e-shab sab ke sab meri hi taqdir ka hasil kyon hain kyon ye mahrumi-e-paiham ka fusun tari hai khwahishen aaj bhi paband-e-salasil kyon hain han magar tum se mere dard ka rishta bhi nahin ‘ishrat-o-‘aish ka mahaul tumhein ras aaya main ne jis zo'm mein ruswai ke ta'ne jhele us ka anjam-e-bala-khez mere pas aaya aaj haalat muafiq nahin khuddari ke ek nai tishna-labi tesha-zani lai hai tum to har tarh se shadan ho magar mera gham qaid-e-tanhai hai aur jaan pe ban aai hai aaj bhi karb-e-musalsal ka wahi 'alam hai silsila har nai uljhan ka isi gham se hai aaj bhi zehn mein zinda hain wahi afsane jin ka rishta bhi isi gesu-e-pur-kham se hai aaj khud mujh pe mera josh-e-junun hansta hai aaj main ishq-e-bala-khez pe sharminda hun aur ye tark-e-mohabbat ki saza hai shayad aaj main khud se gurezan hun magar zinda hun