mutriba saz utha shor-e-shakebai kar aa ki har sa'at-e-kamyab ghanimat jaanen mutriba saz utha mujh ko magar nai de de mere ehsas ko nazuk si koi shai de de teri khuddar tabi'at ka taqaza hai yahi aaj ki raat ye ma'lum hua mera mazi mere auham se zyaada to nahin mujh ko ye wahm tha har shai ko meri hajat hai mujh ko ye wahm tha har shai se mujhe ulfat hai mujh ko ye wahm tha main ‘alam-e-maujud ka mustaqbil hun is ke bar-'aks tab'-e-insan se bargashta hun apni zid aap hain auham mere mazhab ke main bhi majmu'a-e-azdad bana baitha hun mujh ko ye wahm hai har chiz yahan fani hai mujh ko ye wahm hai main khud bhi fasana hun yahan mujh ko ye wahm hai har khwab mera jhuta hai mujh ko ye wahm hai main nuqta-e-mubham hun magar mutriba tu mere auham mein shamil bhi nahin tu mere wahm ka hasil bhi nahin mutriba saz utha shor-e-shakebai kar aur ek bar ye hangama-e-ruswai kar aur phir jab ki mashiyyat ka taqaza hai yahi zard chehron ke ye mahtab ghanimat jaanen