karte hain mazduri bachche jate nahin school is mein un ki bhul nahin hai ye hai badon ki bhul un ki haalat dekh ke dil se nikalti hai ab hae nanhe hathon se gahak ko jab wo pilaen chae mazduri mein un ka bachpan yunhi bita jae taza hawa ki jagah pe wo khate hain gard aur dhul karte hain mazduri bachche jate nahin school workshop mein jate hain wo karne ke liye kaam kaam mein in ki subhen guzren kaam mein guzre sham zalim duniya-dar hain in ko dete thode dam aaj ki is duniya mein kab hai koi ye khub usul karte hain mazduri bachche jate nahin school umr hai in ki khelne wali khelen kahan wo ja kar pani pi kar ji lete hain apni bhuk mita kar hafte ba'd bhi sau do-sau ko khush hote hain pa kar apni zist ganwa dete hain mazduri mein fuzul karte hain mazduri bachche jate nahin school bachchon ki mazduri lanat jurm ye ek bada hai ek nasur hai jo apni izzat ki rah mein khada hai kaun hai jo is zulm ko roke jo har ja pe pada hai bachchon ko madrase mein bhejo mat do bahs ko tul