jo shor din ka thama ba-mushkil udas raaton ki chandni mein sitare pichhli pahar ye bole sanbhal ke apna uthao khema ki dasht-e-ghurbat mein muntazir hain hazaron khun-khar law-lashkar liye halakat ke saz-o-saman hain ghat mein baithe karwan ke jo shab ko guzre to mar dalen jo din ko guzre to raund dalen nai umangon ki raushni mein ghurur-e-azm-e-jawan ko le kar husul-e-manzil ki aarzu mein charagh-e-ulfat ki lau badhae hisar-e-sahra ubur karke jo karwan-e-hayat pahuncha faza mein jhamka wo nur ban kar ufuq pe ubhra hilal ban kar hasin raaton ki chandni mein chamak utha hai damak utha hai hazaron khun-khar law-lashkar liye halakat ke saz-o-saman jo muntazir the wo so gae hain wo rah-e-manzil ko kho gae hain ye karwan-e-hayat apna rawan-dawan hai rawan-dawan hai