kash aisa na saneha hota

kash wo lamha khwab sa hota
kash wo lamha wahm sa hota

kash wo lamha dusra hota
bachche t w hi dekhte hote

chae bhi ghar mein ban rahi hoti
pyaliyan khankhana rahi hotin

chehre chehre pe zindagi hoti
ek dhamaka ajib kyon hota

ek jalta makan kyon hota
ek ujda jahan kyon hota

saneha ek bayan kyon hota
kisi bachche ki chikh kyon ghutti

kisi aurat ki mang kyon lutti
kisi ki mutthi sard kyon hoti

koi chehra udas kyon hota
koi khauf-o-hiras kyon hota

reza reza hayat kyon hoti
zindagi be-libas kyon hoti

zindagi ki kali khili milti
shakh-e-ummid bhi hari milti

tazgi har taraf bichhi milti
ek tajassus sa le ke aankhon mein

log us samt kis liye jate
aur kyon lautte larazte hue

kash wo lamha khwab sa hota
kash wo lamha wahm sa hota

kash aisa na saneha hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close