main ajnabi nahin

mere khuda tu mere qalb ko munawwar kar
mere wajud ko behtar se aur behtar kar

meri hayat tere zikr mein guzar jae
karam bas itna ai parwardigar mujh par kar

agar hai sar pe mere aaftab hi rakhna
nasib mein hai agar iztirab hi rakhna

tu ai khuda-e-karim ek yahi dua sun le
har imtihan mein mujhe kaamyab hi rakhna

mera zamir kabhi dagh-dar ho na sake
kisi ke samne bhi sharmsar ho na sake

mujhe tu nafs ka mere kabhi ghulam na kar
kabhi wo zehn pe hargiz sawar ho na sake

mere shuur ko kuchh aur hi qawi kar de
tu mere zehn ko kuchh aur hi ghani kar de

har ek lafz mein main zindagi pirota rahun
tu mere karb ko kuchh aur shabnami kar de

main jaanta hun ki kuchh bhi nahin hun duniya main
juda juda sa hun gosha-nashin hun duniya mein

magar hai phir bhi tera shukr ai mere malik
main ajnabi nahin raushan-jabin hun duniya mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close