kash samjhauton ko kanch ki chudiyon ki tarah pis kar khaya ja sakta tanhai ke zahr ko shiw ke nil kanth ki tarah gale mein rakh kar jiya ja sakta kash pyas ko snow-white ke nisf seb ki tarah halaq mein daba kar maut ki nind ka abadi waqfa liya ja sakta magar ye samjhaute to mere khun ko zahr ki tarah nila karte ja re hain meri sanson ko apne bar se mustaqil adh-mua karte ja rahe hain