main apni aulad ke liye dudh ki ek botal apne sahab ke liye taskin ghar ke liye machine aur apne liye ek aahat ban ke rah gai hun mera ghar jahan mujhe raat aur din intizar ke dahakte hue lams lapet kar sona pad raha hai khayal ki adh-sili bas se kalaiyon ke gajre gundh kar singhaar karna pad raha hai tanhaiyon ke sawal hont ki surkhiyon ki tahon mein daba kar alwida'i boson ka jawab sahna pad raha hai khamosh tatolti hui putliyan kajalon ki lakiron ki jagah saja kar aansuon ke darmiyan hansna pad raha hai mera ghar jahan mujhe ashya-e-sarf ki tarah rahna pad raha hai