mujh mein ai yar mere koi kamalat na dekh khwab wo hun jo kabhi bhi na haqiqat mein dhala koi sahil nahin manzil na koi moajiza hun ahl-e-bazar ka chaha hua saman bhi kahan jo labon par ho zamane ke na wo naghma hun mere kahne se na rut koi suhani aae meri chahat se na kaliyon pe jawani chhae mere jazbon mein kashish suljhe khayalat na dekh mujh mein ai yar mere koi kamalat na dekh main to is dahr ka chhota sa bashar hun jis ne jina marna bhi faqat mulk ki khatir chaha zulmat-e-shab ke thapedon se ulajhne ke liye zulm o aazar ke haiwanon se ladna chaha mere hathon ne kai bar uthae patthar mujh mein parwaz-e-baghawat ne panapna chaha mere jazbaat-o-tasawwur mein badi shiddat thi aag par chalne ki qadmon ko badi chahat thi ladne walon mein kabhi ek mera nam bhi tha apne hathon se kabhi ek mera nam bhi tha khushnuma rang fazaon mein bikherunga kabhi kuchh ujalon ke shajar main bhi ugaunga kabhi chhoti hi shama sahi main bhi jalaunga kabhi par kahan ho saka jo dil ne mere chaha tha main ne rasta wo chuna ras na jo aaya tha khud-gharaz shakhs ke har ek irade ki tarah meri chahat ke qadam jaane kahan ja pahunche jin mein hire si chamak lagta tha aa jaegi mujh mein wo sang the jo mujh se tarashe na gae apne sagar se guhar mujh se nikale na gae mujh se rahon mein qadam soch ke dale na gae ab ye aalam hai ki jine ke liye jita hun ek afsos o kasak dil mein liye phirta hun apne sine mein kai bojh liye barson se rahguzar mein thaka be-sud safar karta hun main hun sagar mein phansi tanha si kashti ki tarah jis ki qismat mein siwa bahne ke ab kuchh bhi nahin main wo gul hun jo mahakta to hai aangan mein mere jis ki khushbu ne zamane ko diya kuchh bhi nahin mujh mein ek haare sikandar ke siwa kuchh bhi na dekh meri sirat mein farozan si hikayat na dekh mujh mein ai yar mere koi kamalat na dekh