aaj qasid ko idhar se jo guzarte dikha mujh ko aisa laga jaise ki tera khat aaya tu nahin phir bhi chala karti hai duniya meri ab to mahsus nahin hoti kabhi teri kami jaane dahliz pe utra tha wo kis ka saya yun laga jaise ki apna koi wapas aaya tu mujhe yaad na aae kabhi aisa na hua phir bhi ro ro ke guzar hota ho ye bhi na hua jaane kya soch ke in aankhon mein aansu aae aaj nazuk se kai lamhe mujhe yaad aaya aaj qasid ko idhar se jo guzarte dekha mujh ko aisa laga jaise ki tera khat aaya