main apni khoj mein gum thi ki main kya hun azal ke hadse ka silsila hun ya faqat mitti ki murat hun musakhkhar karne wala zehn hun ehsas ki dhimi sajal aawaz hun ya apne khaliq ki koi aisi ada hun jo use khud bha gai hai tumhein paya to ye jaana ki mera bhi koi mafhum hoga tumhein kho kar mere mafhum ki surat nikhar aai fishaar-e-be-yaqini ne wafa ke baad gumbad mein azal ke karb ki surat mein apni ibtida dekhi abad ke aaine mein intiha ka naqsh bhi dekha khuda ka aks bhi dekha