andhere se kashid-e-subh ki raushan gawahi mangne se raat ke lamhe na ghatte hain na badhte hain kabhi gahre bhanwar ke beach uthti duriyon ki dhund mein lipti kisi ki sahili aawaz dariya ka kinara bhi nahin hoti dukhon ki apni ek tafsir hoti hai jo apne lafz khud ijad karti hai jo khwabon se ulajhti hai jo khwabon se ziyaada mo'atabar hoti hai lekin kashf ka lamha masafat ki hazaron manzilon ke baad aata hai numud-e-gauhar-e-kamyab ki saat mein khali sipiyon ka dher be-mani nahin hota