kashmakash

sochte sochte phir mujh ko khayal aata hai
wo mere ranj-o-masaib ka mudawa to na thi
rang-afshan thi mere dil ki khalaon mein magar
ek aurat thi ilaj-e-gham duniya to na thi
mere idrak ke nasur to riste rahte
meri ho kar bhi wo mere liye kya kar leti
hasrat-o-yas ke gambhir andhere mein bhala
ek nazuk si kiran sath kahan tak deti
us ko rahna tha zar-o-sim ke aiwanon mein
rah bhi jati wo mere sath to rahti kab tak
ek maghrur sahukar ki pyari beti
bhuk aur pyas ki taklif ko sahti kab tak
ek shaer ki tamannaon ko dhoka de kar
us ne todi hai agar pyar bhare git ki lai
is pe afsos hai kyun is pe tajjub kaisa
ye mohabbat bhi to ehsas ka ek dhoka hai
phir bhi anjaane mein jab shahr ki rahon mein kahin
dekh leta hun main doshiza jamalon ke hujum
ruh par phailne lagta hai udasi ka ghubar
zehn mein rengne lagte hain khayalon ke hujum
sochte sochte phir mujh ko khayal aata hai
wo mere ranj-o-masaib ka mudawa to na thi
rang-afshan thi mere dil ki khalaon mein magar
ek aurat thi ilaj-e-gham-e-duniya to na thi
This is a great pyari shayari for friend. True lovers of dhoka shayari marathi will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore aurat kya hai shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close