aaj ki raat bhi phir khwab jagaen ge mujhe phir wo karwat se khayalon ke tasalsul ko mitane ki kashid-e-koshish jism ke dard ko silwat mein samo ke wahi bistar pe tadapte hue mahjuri-e-jaanan ko kabhi aah kabhi sans ki gahrai mein shal karne ki sai-e-nakaam ye bhi malum hai ye nim rassi fahm ki diwar talak jast ye sae ki taswir kisi shakl-o-shabahat ke tasalsul ke nishan hain lekin na-suburi ye badan todti angdaiyan honton pe mahakti larzish baat ko rabt ke aahang mein lane ki talab mere sine ka dhuan aankhen sharabor kiye har bun-e-mu ko mulaqat ka juya kar de aankh chadhte hue dariya ki tarah hai pur-ab panw phisle hai to phir sans ka rishta na rahe hum to chahen magar is dil ko ye achchha na lage jaan-kani had se badhi chaaragaro kuchh to karo