dil ye bole ki bandh rakht-e-safar aur zehn aae bediyan ban kar ab aziyyat tera muqaddar hai tu nikal ja ya dekh le ruk kar han magar ek ek lamha wo jo tu is kashmakash se guzrega ek hasin bab ban ke yaadon ka umr bhar tere sath thahrega wo safar jo na tai kiya tu ne pyar se bar bar chhedega