anjaane jaziron par

qadam rakhne se pahle
jaan lo ki

be-abaad jagah aaseb-zada bhi ho sakti hai
basti basane se pahle jin ki khush-nudi lazim aati hai

base rahne ka muawza
kalabattuni pahna de

zarq chadhawe
murassa kundani parniyan hain

ashrafi boti wale kam-khwab ka
sarbar bhi ada karna hota hai

warna
un ke uslub-e-hayat se inhiraf

al-aqarib al-aqrab
hasil-e-hayat rahega

aafiyat mahajani mizaj ka taqaza pura karne mein hai
warna jaan rakho

hawas ka aaseb ikati ukhed phenkne mein
tammul na karega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close