kashti

hum likhne wale
wo kahani mein

jo khizan mein likhi jati hai
aur bahaar mein sunai jati hai

aur git hain
jo andhere mein gaya jata hai

aur raushni mein
dohraya jata hai

hum ek aisi diwar hain
jo kisi raste mein nahin aati

aur ek aisa darwaza
jo hamesha dariya ki taraf khulta hai

aur ek aisi khidki
jo kabhi bazar ki taraf nahin khulti

hum ek aisa darakht hain
jise aap kat to sakte hain

magar laga nahin sakte
hum is darakht ke

kate jaane ka afsos
hum us darakht mein

phutne wali konpalon
ki khushi

hum is darakht ka saya
aur hum us ki lakdi se bani hui

ek aisi kashti hain
jis mein bhediye

safar nahin kar sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close