KHat

shahr khat likhta hai
sab se pahle tarikh

yani jis din khat likha gaya
jagah yani jahan se khat likha gaya

aur phir waqt
jis waqt shahr ne ye khat likhna shurua kiya

shayad wo ro raha tha
nili raushnai se likhe gae lafz

jagah jagah se phail gae hain
aur kaghaz itna khasta hai ki agar khat ziyaada der dak mein rahta to shayad

lifafe ke andar hi kat phat jata
khat likhne ke dauran hi

shahr ke sine par
dher sari goliyan daghi gain

shahr ki aankhon mein
rakh aur barud ke zarre

bhare gae
shahr ko der tak dhup mein baithna pada

aur is se bhi ziyaada der
andheron mein rahna pada

shahr subh se dopahar tak
diwar ke sath laga

khada raha
aur dar ke mare

bahut si baaten likhte likhte rah gaya
shahr wo baaten bhula nahin

us ne likha hai wo apni diary mein
sab kuchh note kar raha hai

us ne likha hai log is diary ko
churane ki koshish kar rahe hain

us ne likha wo apni diary ek din
shahr na jaane kya likhna chahta tha

aur likh nahin saka
tin chauthai khat likhne ke baad

shahr ka kaghaz shahr ki nili raushnai
shahr ki siyahi shahr ke lafz

sab kuchh khatm ho kar rah gaya
shahr us khat ke shurua mein

us shakhs ka nam likhna bhul gaya
jise wo khat likhna chah raha tha

aur khat khatm karne ke baad
ya shayad is se pahle hi

shahr apna nam bhi bhul chuka tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close