suniye ek na-aqibat-andesh ki fariyaad hai kah raha hai wo mujhe apni jawani yaad hai main jise kahta tha ghar wo aaj tifl-abaad hai meri tanha jaan hai aur kasrat-e-aulad hai ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun wo bhi kya din the ki jab ye muflisi chhai na thi aashiqi qaid-e-shariat mein abhi aai na thi kis qadar the mutmain go jeb mein pai na thi kasrat-e-aulad ke bais ye ruswai na thi ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun kya khata meri ki jo bachcha hua judwan hua aur ma ham-zad aajiz hi ke ghar mehman hua mere ghar aaya to goya dakhil-e-zindan hua mulk mein ghalle ki qillat ka naya unwan hua ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun ho gae hain ek darjan aaj tak lakht-e-jigar ek in mein referee gyarah khiladi hain magar is khiladi team mein footbaal hai in ka pidar us ko daudate hain ye bachche idhar gahe udhar ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun ja ke pahle ke liye moti sifarish launga mauqa-be-mauqa aizza ko bahut daudaunga apne sare doston ki jaan ko aa jaunga aur kisi daftar mein us ko naukri dilwaunga ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun dusra bimar hai launga main us ki dawa dhundhta hun tisare ke dakhle ko madrasa ja ke chauthe ne jo ham-sae se jhagda kar liya is ko neki de khuda se kar raha hun ye dua ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun panchwan hai aur chhata hai aur patangen aur dor satwan hai, aathwan hai aur nawan karte hain zor koi bachcha chikhta hai aur koi karta hai shor kyunki ye ek dusre ko chhed kar karte hain bor ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun hain jo daswin, gyarahwin, donon hain kandhon par sawar ye dila do wo dila do kah rahe hain bar bar barahwan bachcha jo hai wo kar raha hai man ko khwar raat bhar rota hai us ki god mein wo na-bakar ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun ghar mein motor bhi barae-bar-bardari nahin sath le jaane mein bachchon ke ba-juz-khwari nahin ek bachcha god mein le lun ki wo bhaari nahin wo magar darjan hain main insan hun lari nahin ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun baat sach ye hai ki hum the jis zamane mein jawan khandani qasam ki mansuba-bandi thi kahan aur ashya-e-zaruri bhi na thin itni giran aaj main hun aur meri muflisi ki dastan ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun