ye kis ki nida mawara-e-nida aa rahi hai ye roe mashiyat hai ya ghaib ka koi nurani haala maut ki aamad aamad hai maut maktab-e-ilm-e-adam se nikal ke jism khak-o-khashak se jaan nikalti hai phir apni bartari surkh-rawi liye zamin-ta-zamin aur aasman-ta-asman phirti hai maut ek kartab-baz hai ya tamam kartabon ki mojid hai us ne nar aur mada ko ijad kiya aur donon ko ham-badan kiya phir inzal ki mausiqi mein mausiqi mein us ka gum hona hi to azal-o-abad hai kabhi na zahir hone wali zamin ki faza aur us ka aasman to parinde ke baatin mein hota hai warna jism se jaan nikalte hue kis ne dekha hai kis ne dekha hai ek dusre mein sote-jagte ped-paudon ko hashraat ko jamadat ko nind to kisi gum-shuda jazire ka nam hai aur bedari to aankhon ko dhoka dene wali dhund hai aur is dhund mein an-ginat sadiyan bit gai phir na jazira hi mila na sadiyan mustaqbil huin