khudaya! na main ne kahin sar jhukaya na duniya mein ehsan ab tak kisi ka uthaya mere sar pe jab dhup hi dhup thi us ghadi main na dhunda kahin koi saya to ab tu hi aa kar meri aabru ko bacha le yahi ek tohfa hai jo main tere pa-e-aqdas pe rakh dunga aur ye kahunga yahi meri punji, yahi hai kamai mujhe aur kuchh bhi ata kar na pai ye teri khudai khudaya! meri nazr-e-be-maya ko dekh kar jis khazane mein is ki jagah ho ab wahan par ise dal de