meri qabr par ek katba to hai par mera nam us par nahin hai mera nam jo kuchh bhi likkha gaya tha wo ab mit chuka hai ye katba safed aur sada sa hai magar khali khali ise dekh kar har ek aane wala ye kahta hai kya hai? ye kyun hai? batao koi shakhs aisa bhi hai mera koi hamdard mera muawin jo aae aur aa kar mere sada katbe pe apna bhala sa koi nam likh de aur koi us se puchhe ki ai maskhare! tu to zinda hai, maujud hai phir tere nam ki qabr kaisi? kya koi ye tera khel hai? aur wo shakhs phir ye kahe: tum se matlab? ye meri qabr hai, han meri qabr hai main isi qabr mein dafn hun!!