kal jo qabristan se lauta to tanhai ka ek bojh utha kar laya aise lagta tha ki main bujhta diya hun aur sab log tamashai hain muntazir hain ki mere bujhne ka manzar dekhen aise lagta tha ki har gam par khulte dahane hain mere jism ko aaghosh mein lene ke liye zindagi dur khadi hansti rahi qahqahon ka ek samundar meri jaanib mauj-dar-mauj badha shab ka sannata falak-bos imaraat ke darbon mein wo hilte hue sae jaise marghat ka saman ho raste nag ki manind dahane khole kahin footpath pe lete hue be-jaan se jism jin pe khambe yun khade the jaise ye katbe gade hon phir achanak wo brakon ki creach surkh-khun ka ek fawwara wo ek kutte ki lash zindagi ek tilismat-kada jis ki diwaron ki zinat ke liye lamhon ki rangi titliyan patthar huin