main to jaise khaDa hua hun ek manzil par

main to jaise khada hua hun ek manzil par
aur lamhe ye waqt ke tukde

yun udte hain chaaron taraf ek titli jaise
jis ke pankh kabhi to sunahre

aur kabhi lagte hain siyah sota
yun hi be-mani be-mauqa

nachne lagti hai duniya dil git sunata hai
banjar dharti se uble padte hain nur ke chashme

aur achanak
baadal ki chadar suraj ke munh ko dhak deti hai

maddham padne lagta hai sangit ka jadu
nur ka dam ghutne lagta hai

aur lamhe ye waqt ke tukde
yun udte hain chaaron taraf ek titli jaise

jis ke pankh kabhi to sunahre
aur kabhi lagte hain siyah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close