hamare shahr ki aabaadi ke darmiyan kisi bhi samjhaute ke imkan ko mustarad karte hue shahr ke shumal maghrib mein dur tak phaili hui pahadi mein ek shigaf dal diya gaya hai pahadi ko katne ka ye achhuta khayal shahr ke kuchh meamaron ke zehn mein kya aaya shahr ke makanon ke dar-o-diwar is nai tafriq ke shor-o-shar se tap kar surkh ho gae aur shahr ke upar mandlane lage qismat aazmaun ke azaem shahr ko ab nae zawiyon se dekha jaane laga ab is pahadi mein kai ek aise maqamat dikhai dene lage hain jahan se use mazid kata ya kamzor kiya ja sakta hai pahadi ke katte hi us pas ki aabaadiyon ne apni hudud ko nae sire se tartib de liya hai katao se shahr mein hawa ka dabao ghair-mustahkam ho gaya hai gadiyon ke route badalne lage jami jamai aabaadi mutazalzal ho gai bazaron aur kharidaron ke rang rup aur chehre mohre tabdil ho gae hain log shah-rahon makanon parkon schoolon aur ibaadat-gahon ko yun dekhne lage jaise un ke bich bhi unhen shigaf dikhai dene lage hon kati hui pahadi ne hum sab ke chehron ke bich ek mustaqil darad dal di hai in meamaron se zyaada jinhon ne pahadi mein shigaf dala hum har us shai se khauf-zada hain jis mein ba-zahir koi shigaf ya darad dikhai nahin deti par jis ke darmiyan se mustaqil jhank rahi hai kati hui pahadi