chand kab se hai sar-e-shakh-e-sanobar atka ghas shabnam mein sharabor hai shab hai aadhi baam suna hai, kahan dhunden kisi ka chehra (log samjhenge ki be-rabt hain baaten apni) sher ugte hain dukhi zehn se konpal konpal kaun mausam hai ki bharpur hain gham ki belen dur pahunche hain sarakte hue ude baadal chand tanha hai (agar us ki balaen le len?) dosto ji ka ajab haal hai, lena badhna chandni raat hai katik ka mahina hoga mir-e-maghfur ke ashaar na paiham padhna jine walon ko abhi aur bhi jina hoga chand thithka hai sar-e-shakh-e-sanobar kab se kaun sa chand hai kis rut ki hain raaten logo dhund udne lagi bunne lagi kya kya chehre achchhi lagti hain diwanon ki si baaten logo bhigti raat mein dubka hua jhingar bola kasmasati kisi jhadi mein se khushbu lapki koi kakul koi daman, koi aanchal hoga ek duniya thi magar hum se sameti na gai ye bada chand chamakta hua chehra khole baitha rahta hai sar-e-baam-e-shabistan shab ko hum to is shahr mein tanha hain, hamin se bole kaun is husn ko dekhega ye is se puchho sone lagti hai sar-e-sham ye sari duniya in ke hujron mein na dar hai na daricha koi in ki qismat mein shab-e-mah ko rona kaisa in ke sine mein na hasrat na tamanna koi kis se is dard-e-judai ki shikayat kahiye yan to sine mein niystan ka niystan hoga kis se is dil ke ujadne ki hikayat kahiye sunne wala bhi jo hairan nahin, hairan hoga aisi baaton se na kuchh baat banegi apni suni aankhon mein nirasha ka ghulega kajal khali sapnon se na auqat banegi apni ye shab-e-mah bhi kat jaegi be-kal be-kal ji mein aati hai ki kamre mein bula len is ko chand kab se hai sar-e-shakh-e-sanobar atka raat us ko bhi nigal jaegi bolo bolo baam par aur na aaega kisi ka chehra