bulldozer qadmon se chalti colony baktar-band nai behad tausia ke sahra mein kya sungh rahi hai sund uthae aadam bu aankhen palken jhapkate rahne par mamur us ki be-waqfa-e-khwab signal ki batti jalti bujhti sada din ho ya raat sansani-zada har khatke par aasab shahid aa hi gaya aane wala yaum-e-hisab harba mein khud apne muhaarib ka yun dhal jaana khud ko kho kar ghalba pana ai dida-e-ibrat-bin ek turfa-tamasha hai masnui mashini duniya mein masnui mashini jit aur haar jab tak tum tum ho kuchh nahin khoya hum ne ai ham-nafsan-e-jafa-dida ai ham-nafsan-e-hazin jab tak tum tum ho aadam-zad yahan har jabr ke madd-e-muqabil hai sarmast azal aazad khush-bash nidar pakiza nihad tum aalam-e-khwab ke baz ashhab kibriyat-e-ahmar nayab phir bhi dhaara sa tumhaare dam se chahat ke armanon ka bahta rahta hai dilon mein tumhaare hote reza-rez na ho paengi yahan husn-o-khubi ki ye tabiraat suhani ujli tamiraat ba-raunaq jin se sharq-o-gharb ye bazm-e-jihat