katthai sham

ek katthai sham
hawaon mein itr ghol gaya koi

likhne khwabon ko palken jo mundin
ki kajal laga gaya koi

subh hansti thi
aur raat bhi thi gungunati

par uf us ki wo zalim ada
be-wajh muskurane ka sabab de gaya koi

manzil thi dur
aur na tha koi ham-safar

aisi sunsan rahon mein
mujh se meri pahchan kara gaya koi

chand hai kuchh mayus
gul bhi hain gum-sum aur be-rang

are tumhaare bhi din aaenge
aaj to bazi le gaya koi

mumkin na raha ghunghat ke bhi
chhupana ye makhmali husn mera

soch zamane ka jokhim
kala tika laga gaya koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close