mukammal thi zindagi the raste khushnuma na thi manzil ki parwah chun li apni marzi ki dagar aur main hi mera ham-safar khud ki sohbat se behtar bhala aur kaun na koi ikhtilaf har haal mein raza jahan main le chalun khud ko bas maza hi maza na samay ki kami na kisi ka intizar jahan ji chaha dal diya padaw manzil wahin jahan ruk gae mere panw agli subh main aur meri nai-naweli dagar tayyar pur-sukun thi zindagi chalte chalte ek mod pe aa mili ek aur rah badhne lage sath mere aur ek jodi panw aaj pahli bar mere adhure-pan ka ehsas kara gaya koi kya khak mukammal thi zindagi aaina gaya koi