aaj subh jab aasman par kale ghanere abron ka basera tha main apne baam par rakhi mez par kal ke akhbar ke waraq palat raha tha ek khabar dikhi us mein jo utar nahin rahi thi zehn se kai martaba dhyan bhatkane ki jidd-o-jahd bhi ki par kaamyab na hua akhbar bhi murjha gaya tha is khabar se shayad azab tha use bhi kaise koi insan dusre insan ko mar deta hai kuchh yun mahsus ho raha tha jaise us dusre insan ke surkh khun ke dhabbe mere akhbar ke waraq par bhi pade the ek ajib si taze khun ki bu aane lagi thi kaun tha gunahgar is qatl ka wo pahla insan jis ki thi fitrat aisi ya khud khuda jis ne banaya tha wo qatil insan faisla abhi bhi baqi hai