ye jo baune khuda bane hain ajib shai se jo lag rahe hain hain dar-haqiqat ye aadmi hi bas un ki khaslat juda hai thodi ana jo un ki kuchal chuki hai zamir un ka jo mar gaya hai ye sach hai zehni ghulam hain ab khabasaton ke imam hain ye hamesha jhuk kar mile dani se sana mein ratab-ul-lisan ho kar gunah ko un ke sawab jaana fareb ko la-jawab kah kar unhi ko aaqa unhi ko malik unhi ko apna khuda bhi mana unhi ke hathon jism-o-jaan ko khudi ko iman ko bech dala ba-nam-e-ilm-o-adab jo paya abdullah-ibn-e-ubay ki daulat abu-jahl ki wo khasiyat hai jo chahen un ko kuchh aur kah len jo chahen insan phir bhi samjhen magar ye sach hai lain hain ye kam-zarf aur haqir hain ye ye danaon ke haq ko yaksar ghabi ko mohmal ko bechte hain ye qaum-o-millat ka nam le kar usul-o-mazhab ki baat kah kar naslen kitni tabah kar ke khetiyan apni sinchte hain aur habab dil mein baitha main dekhta hun ye sochta hun hai kaun mujrim in mein aakhir jo aaqa malik bana hua tha ya wo jo bauna khuda bana hai ya phir wo dana shikast kha kar idhar udhar jo bhatak rahe hain ya wo ghabi jo haq chura kar khuda ke khitte mein aa base hain ya main ki tanha muhit-e-dil mein mahz tamasha-bin bana hun