kash na hota to achchha tha aisa bhi hota hai jag mein rab ke ham-sae ki aise rab ke pujari jaan lete hain din bada ghamgin sa tha wo suraj bhi roya tha pahron sadiyon ki wo raat ajab thi jaise ruhen chikh rahi hun subh ki chanchal hawa jo aai jaane kis ko dhund rahi thi baulai baulai si phul parinde sab gum-sum the pedon ke patte tak sakit faslon ki baalin bhi chup thin saryu ki aankhon ke aansu jaane kyun na thamte the nari baalak pir faqir giyani aur updeshak bhi sab hairan the sahme the sab dubidha mein tha har koi kaise kis ko munh dikhlae mard-e-muqaddas lauh-purush tir dhanush jab le kar lauta tut chuka ho khud wo jaise sharminda afsurda tha zalim ko paraje karne wala ismat-e-sita ka rakhwala apna sab kuchh tyagne wala raj dharm ka rakshak khud hi khud apni nagri ke andar bebas aur ranjida tha kyun ki khud is ke apnon ne us ki hi nagri mein aa kar us ka hi dil tod diya tha aaj bhi jab wo din aata hai suraj chanda din aur raat phul parinde khet ki faslen baalak giyani pir faqir sab gum-sum ho jate hain suraj saryu sita mil kar pahron nir bahate hain ki raj-dharm ke rakshak ka dil phir se toda jata hai