ai yar-e-dil-nashin wo ada kaun le gaya tere nagin se naqsh-e-wafa kaun le gaya hal kar diya tha jis ne muamma shabab ka tujh se wo fikr-e-uqda-kusha kaun le gaya tha lutf pahle qahr mein ab sirf qahr hai zulmat se mauj-e-ab-e-baqa kaun le gaya kyun dafatan labon pe khamoshi si chha gai is saz-e-dil-nashin ki sada kaun le gaya aankhon se shan-e-bazl-o-sakha kis ne chhin li sine se zauq-e-lutf-o-ata kaun le gaya thin jis ki rau se khun-e-tamanna mein surkhiyan rukhsar se wo rang-e-wafa kaun le gaya raaton ko mangna tha dua meri did ki wo minnaten wo zauq-e-dua kaun le gaya ai shah banda-parwar-e-sultan-e-narm-dil dil se tere khayal-e-gada kaun le gaya pahli si wo kalam mein narmi nahin rahi guftar se mizaj-e-saba kaun le gaya ab 'josh' ke liye hain na aansu na aah-e-sard is gulsitan ki aab-o-hawa kaun le gaya