ab saba kucha-e-jaanan mein guzre hai ki nahin tujh ko is fitna-e-alam ki khabar hai ki nahin bujh gaya mehr ka fanus ki raushan hai abhi ab un aankhon mein lagawat ka asar hai ki nahin ab mere nam ka padhta hai wazifa koi ab mera zikr-e-wafa dard-e-sahar hai ki nahin ab bhi takti hain meri rah wo kafir aankhen ab bhi duzdida nazar jaanib-e-dar hai ki nahin chhup ke raaton ko meri yaad mein rota hai koi maujzan aankh mein ab khun-e-jigar hai ki nahin husn ko pursish-e-bimar ka hai ab bhi khayal mehr ki zarra khaki pe nazar hai ki nahin be-khabar mujh ko zamane se kiya hai jis ne kuchh use meri tabahi ki khabar hai ki nahin khae jata hai mujhe dard-e-gharib-ul-watani dil par is jaan-e-watan ke bhi asar hai ki nahin 'josh' khamosh bhi ho puchh raha hai kya kya kuchh tujhe tadne walon ki khabar hai ki nahin