kaun zanjir toD sakta hai

kaun zanjir tod sakta hai
kis mein himmat hai tum se ladne ki

kis mein jurat hai sar uthane ki
kaun baghi tumhaari zat se ho

kis sitamgar ko jaan pyari nahin
jaan hai to jahan hai pyare

log zinda rahenge lalach mein
ki kisi roz waqt aaega

ek lashkar masarraton ka liye
aur tah-e-tegh kar ke rakh dega

gham ki faujon ko qahr ke dil ko
aur ye be-nishan qaidi bhi

isi jhule mein chhut jaenge
silsile dukh ke tut jaenge

tum magar fikr mat karo jaanan
ye to lalach hai zinda rahne ka

khwab hai murda zarf logon ka
waqt mazlum ka nahin hota

tum pareshan mat ho jaan-e-jaan
tum se munh kaun mod sakta hai

kaun zanjir tod sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close