aaina-e-khulus-o-mohabbat yahan the ram amn aur shanti ki zamanat yahan the ram sachchaiyon ki ek alamat yahan the ram yani dil-o-nigah ki chahat yahan the ram qadmon se ram ke ye zamin sarfaraaz hai hindostan ko un ki shujaat pe naz hai un ke liye gunah tha ye zulm-o-intishaar isar un ka sare jahan par hai aashkar daman nahin tha un ka tassub se dagh-dar hirs-o-hawas se dur the wo sahab-e-waqar be-shak unhin ke nam se raushan hai nam-e-hind iqbaal ne bhi un ko kaha hai imam-e-hind lal-o-guhar ki koi nahin thi talab unhen izzat ke sath dil mein basate the sab unhen bachpan se na-pasand the ghaiz-o-ghazab unhen logon ka dil dukhana gawara tha kab unhen wo zalimon pe qahr gharibon ki dhaal the kirdar-o-e'tibar ki raushan misal the un ko tha apni rasm-e-ukhuwwat pe e'timad khud kha ke juthe ber diya dars-e-ittihad farz-ashna the farz ko rakkha hamesha yaad kahne pe apni man ke kaha ghar ko khair-baad rukhsat hue to lab pe na the shikwa-o-fughan ye hausla nasib hua hai kise yahan ban-bas par bhi lab pe na tha un ka ehtijaj bhai ke haq mein chhod diya apna takht-o-taj karte rahe wo chaudah baras tak dilon pe raj hindostan mein hai koi un ki misal aaj rah-e-wafa pe chal ke dikhaya hai ram ne kahte hain kis ko tyag bataya hai ram ne rahbar ye shar-pasand kahan aur kahan wo ram wo be-niyaz-e-aish-o-tarab zar ke ye ghulam wo paikar-e-wafa ye riya-kar-o-bad-kalam wo amn ke naqib ye shamshir-e-be-niyam rasm-o-riwaj-e-ram se aari hain shar-pasand rawan ki nitiyon ke pujari hain shar-pasand