tu ai kaweri hai rashk-e-rud-e-nil teri ek ek mauj mauj-e-salsabil pad raha hai tujh pe aks-e-jibrail tujh se hai sairab gulzar-e-khalil aaj bhi huran-e-jannat be-shumar dekh kar tujh ko qatar-andar-qatar roz aati hain nahane ke liye raqs ka tufan uthane ke liye nur ka dariya bahane ke liye naghma-e-firdaus gane ke liye khizr ko hai aab-e-haiwan par ghurur faiz jari hai tera nazdik-o-dur tera har qatra hai bahr-e-be-karan jis mein pinhan hain hazaron naddiyan tera naghma ga raha hai har kisan jis se paiham raqs mein hai aasman tere dam se hain ye sab gul-kariyan lahlahati hain jo sari khetiyan bel-bute aur har shakh-o-shajar gulshan-e-hasti ka har barg-o-samar bulbul-o-qumri-o-shahin be-khatar sab parinde aur charinde bahra-war muflis-o-mohtaj hon ya ahl-e-zar zalim-o-mazlum hon ya tajwar sab pe tera faiz yaksan hai mudam tere aage ek hain aaqa ghulam