rasm-e-andesha se farigh hue hum apne daman ki shikan mein simte kaf-e-ayyam ki pur-pech lakiron mein kahin apne aainda-e-nadida se sahme hue hum gah ijmal-e-guzishta pe gulu-gir hue jaise dhul jaega bechaari riwayat ke shanon ka ghubar chand bimar iradon ki ayaadat chahi gah nayab duaon ka shumar aur taqrir ke pechida sawalat ko dohraate hue ek ek kar ke sab ahbab ne rukhsat chahi rasm-e-andesha ki taqrib-e-mulaqat se farigh hue hum rasm-e-andesha kisi aur zamane ka gunah aur duniyaon ka jurm jis ki zanjir-e-mukafat mein uljhe hue hum apne ajdad ke aasar ke derina faqir kasa-bar-dosh sar-e-dast-e-ata jate hain maut bar-dosh sar-e-dast-e-ata jate hain maut aur wasl ki tabir pe sargarm-e-kalam apni tarikh ka insaf baja late hain rasm-e-andesha ki tarikh-e-mukafat ke mare hue hum